Nasha Shayari – Shayri on Sharaab

Arz Kiya hai…
Chalo aaj phir sharaab peete hain
haal-e-dil phir bayaan karte hain
dafan kar roz marra ki kashm-o-kash
aao aaj zindagi ko nashe se khumaar karte hain
-By DK

Arz Kiya hai…
Nikalte hain Maikhane se
Aur doob jaate hain aankhon me unki
E Khuda hosh me aaun to aaun kaise
Ek taraf hai maikhana
Aur ek taraf Aashiqui meri
-By DK

Dil-O-Nigaah pe
Kyun Chhaa raha hai E Saaki
Teri annkhon ka nasha Sharaab se pahle

Arz Kiya hai…
Thama hai aaj jaam aise
Jaise thama ho tera haath waise
Wohi Nasha wohi khumaar
Pahla pyar ho jaise
-By DK

Arz Kiya hai…
Aaj itni Pila de Saaki
Ki bhool Jaun unhe
agar bhool bhi gaya unhe
to bhi ye Gham rahega
Unhone hame bhulane mein
Do boond bhi nahi pee
– By DK

Mere ashq bhi hain ismeein
Ye sharaab ubal na jaaye
Mera jaam chhone wale
tera haath jal na jaaye

Mujhe Nasha hai tujhe Yaad karne ka
Aur ye Nasha main saream karta hoon

Arz kiya hai…
Usne jo pilaya
Apne haathon se jaam
Acche khaase insaan ko
Kar diya nakaam
Ab paimaane se piyein
Ya piye unki aankhon se
Isi kash-m-kash mein
Beet rahi hai ye shaam
-By DK


Arz kiya hai…
Mehfil mein Do ghoont jo gaya
Halak mein Jaam
Zubaan pe aa hi gaye unka naam
Gum ye nahi ki wo thi
Ek nakaam ishq ki kahani
Gum yeh hai ki wo ruswaa ho gayi
Meri khud ki zubaani
-By DK

Arz Kiya hai…
Mehfil mein jo rang aata hai
Aapke aa jane se
Dil yun dhadak uthta hai
Aapke deedaar pane se
Yun to pakka hun Sharaabi
Ek boond bhi nahi chhorta paimaane mein
Par dekh ke aapko
Jaam bhi chalak uthta hai
Apne paimaane se
-By DK

Arz Kiya hai…
Laye the sharaab hum Ye soch ke
ki kabhi fursat me piyenge
par humaari aashiqui to dekho
Wo kah rahi hai
mujhe isi waqt apne labon se laga lo
-By DK

Arz Kiya hai…
Mere rahte ye udaasi kaisi
Saamne hain hum
to phir ye khamoshi kaisi
Jo kah na sake ab bhi dil ki baat
to glass mein jaam ki Awaargi kaisi
-By DK

Arz Kiya hai…
Hota jo sharaab to
Unke glass se hoke halak me utar jata
Jo baat rah gayi thi bas unke dil mein
Use unke zubaan tak le aata
Pal bhar ke liye hi sahi
Unke liye main sab kuch ho jata
-By DK

Arz Kiya hai…
Aaj dil me phir toofan sa utha hai
Paimaane me jaam ke saath ishq ka ufaan sa utha hai
Dikh jaye jo ek jhalak aapki
Dil mein ye armaan sa utha hai
-By DK

Arz Kiya hai…
Fizaaon mein aaj kuch aisa nasha sa hai
Bin piye koi bahka bahka sa hai
Maana tere husn ke qadradan bahut hain
par unmein se koi ek bhi mere jaisa na hai
-By DK

Arz Kiya hai…
Thaam lena mujhe ke aaj behak na jaaun
Par jo sunna ho agar dil ka haal
to bata de mujhe main peeta chala jaaun
-By Dk

Arz Kiya hai…
Jhoom raha tha unke ishq mein
Unhone Sharaabi samajh liya
Ishq kiya tha badi sanjeedgi se
unhone dillagi samajh liya
-By DK

Arz kiya hai...
Aaj hawa mein phir 
nashe ka khumaar jaaga hai
Sharaab to aajma chuke aap kai baar
Ek baar hame aajma ke dekhiye
Phir kahiye nasha kisme zyada hai
-By DK
Arz kiya hai...
Aaj apni nigahon se aisi pila de mujhe 
Ki main maikhana bhool jaaun
Ishq ka aisa khumaar sar chada de mujhe
Ki main sharaab bhool jaaun
-By DK
Arz kiya hai...
Kabhi kabhi bin piye bhi behak jaata hun
Kabhi kabhi bin wajah bhi khush ho jata hun
Khuda jaane ye kaun sa marz hai
Deewana hun main ya yehi ishq ka rog hai
Paas hoti hai wo to lagta hai kuch zindagi sii hai
Door jaati hai wo to jaise koi kami si hai
Kabhi kabhi yaad karke muskurata hun
Kabhi kabhi bewajah hi jashn manata hun
Kabhi kabhi....poochta hun khud se
Kya yehi ishq hai
Kya yehi ishq hai
-By DK

Arz kiya hai…
Husn kuch yun nikla tha us din shahar mein
Jaise Chaand poore shabaab mein ho
Nasha kuch is qadar chaaya tha
Jaise bhaang sharaab mein ho
-By DK