Shayari on Maa

Arz kiya haiā€¦
Umar ho chuki bahut
Par waisi hi hai ab bhi maa
Fikra na hui kam bilkul bhi
Waisi hi meri fikramand hai maa
Khud khaya ki nahi ye yaad nahi unko
Par mujhe poochti rahti hai har waqt maa
Ab sharir me wo zor nahi dimaag bhi ab utna tez nahi
Par jab baat aati hai meri
Purzor tandrust ho jaati maa
Rozmarra ki kashm o kash me
Waqt de paata zyada nahi main
Par us saath ke har pal ki aas dekhti hai maa
Ladkhada ke chalti hai phir sambhalti hai
Par aaj bhi dagmaga jaun jo main
To kaanpte haanton se thaam leti hai maa
Zindagi dhal rahi hai ab
Par mujhe hi zindagi maan baithi hai maa
Kyun itni nadaan hai
Itne tazurbe par bhii meri maa
Khushnaseeb hain wo.log
Jinke saath hai aaj bhi maa
-By DK