Collection of the best Romantic Shayari
Arz Kiya hai…
Dil Dhadakne ka bahana
dhoondh hi leta hai
Chahe ho koi puraani yaad
Ya phir ho koi naya anjaan
Khwaishon ko hausala koi de hi deta hai
Dil Dhadakne ka bahana
dhoondh hi leta hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Saamne aa jate ho tum
to waqt tham sa jaata hai
koi bhi ho gum
Kuch kam sa jata hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Aapki isi ada ke kaayal hain hum
Duniya samajhti hai deewane paagal hain hum
Nadaan hain wo unhe kya pata
Aapke ishq mein ghyal hain hum
-By DK
Bas itna hi kaha tha unhe ki barson se pyaase hain hum
Unhone hoton pe hoth rakhke hame khamosh hi kar diya
Arz Kiya hai…
Kho jaayein jo raaston mein
Unhe phir bhi Manzil mil hi jati hai
Par kho jaaye jo dil mein
Unhe jeete ji hi
Jannat naseeb hoti hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Hausla bhi tum ho
Himmat bhi tum ho
Ishq bhi tum ho
Zindagi bhi tum ho
Meri to subah bhi tum ho
aur Shaam bhi tum ho
-By DK
Arz Kiya hai…
Tadap nahi to phir wo Aashiqui kaisi
Sharm se laal na ho jaayein wo
To meri Awaargi kaisi
-By DK
Arz Kiya hai…
Chaand bhi aaj kuch
Apne poore Khumaar mein hai
Jaise koi ishq ka maara
Aaj bhi Mehbooba ke intezaar mein hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Adaaon mein aapki
husn beshumaar hota hai
aapki har ek jhalak ka
yahan intezaar hota hai
ruk jata hai waqt bhi
jab zindagi ka aapse deedaar hota hai
-By DK
Arz kiya hai…
Lagta hai ishq ka junoon
Phir se sar pe sawaar hai
Purana ishq to dum tod chuka
Par naye ka poora khumaar hai
Kyun aa jaata hai ye laut laut ke
Iska jazba to dekho
rag rag me beshumaar hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Khamosh rahti hain wo
To dil saham sa jata hai
chuppi rahti hai udhar
Aur sannata yahan chhata hai
Unke alfaazon me bhi bada dum hai
Unke alfaazon me bhi bada dum hai
Sabko alfaaz aur hame ishq nazar aata hai
-By DK
Arz kiya hai…
Kiye hain do chaar kaam hi
Zindagi mein
Mohabbat unmein se ek hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Kahte ho ki khatm ho gaya sab kuch
ab yaad karte kyun ho
To phir dekh ke mujhko
Teri aakhon me ummed ka ye qahar aata kyun hai
-By DK
Arz kiya hai.. Beeti hui deewaangi ho tum Rooh ki guzri awaargi ho tum Bhula ke bhi jo har baar yaad aaye Aisi khubsoorat kahani ho tum -By DK
Arz kiya hai.. Udhar badlon me chupa Aadha hai chand Idhar unke bina aadhe hain hum Jaise chand chupta hain baadlon me Waise hi kabhi aa ke chup jaiyye mere agosh me -By DK
Arz Kiya hai…
Fizaaon mein aaj kuch aisa nasha sa hai
Bin piye aaj koi bahka bahka sa hai
Maana tere husn ke qadardan bahut hain
Par unme se koi ek bhi mere jaisa na hai
-By DK
Arz kiya hai…
Husn ko jo pakadna chahoge
To ret sa fisal jayega
Ishq se jo aajma lo use
To khud dauda chala ayega
-By DK
Arz kiya hai... Mil jaayein wo to deedar kijiye Na mil paaye to unki yaadon pe Aitbaar kijiye Ikraar hoga zaroor bas thoda waqt lagega Bas aap apna ishq khuleaam kijiye -By DK
Arz kiya hai…
Saamne hai tu to zindagi si hai
Chali jaati hai to gami si hai
Bhari mehfil se lauta hun tanha
Bas ek teri hi kami si hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Faaslon se bhi koi nazar aa gaya hai
Aaj koi bhoola phir yaad aa gaya hai
Bahar dhoodhta phirta tha jise ek arse se
Apne hi dil mein phir nazar aa gaya hai
-By DK
Arz Kiya hai…
Har guzre lamhe ko koi naam na do
Ishqbaaz mashgul hai pahle hi ishq karne mein
us bechaare ko aur koi kaam na do
-By DK
Arz Kiya hai…
Tum bin zindagi kuch adhuri si hai
bhari mehfil mein bhi jaise kuch kami si hai
Tum nahi to ek maayusi si hai
Tum ho to ek deewangi si hai
Tum nahi to jaise ek gum sa hai
Tum ho to ek khushi si hai
Tum bin zindagi kuch adhuri si hai
-By DK
Arz Kiya hai... Tere liye mere ishq ka junoon hai kuch aisa Samandar ki lahron mein ufaan utha ho waisa Teri yaadein aati hain jati hain bikhar jati hain Aur badastoor phir chali aati hain Larhon ka mijaz ho jaisa -By DK
Arz kiya hai... Husn ko jo pakadna chahoge To ret sa fisal jayega Ishq se jo aajma lo use To khud dauda chala ayega -By DK
Arz kiya hai... Mil jaayein wo to deedar kijiye Na mil paaye to unki yaadon pe Aitbaar kijiye Ikraar hoga zaroor bas thoda waqt lagega Bas aap apna ishq khuleaam kijiye -By DK
Arz kiya hai... Thaama tha unhone mujhko kuch aise Dum todta insaan zindagi thaam leta ho jaise Muddatein beet gayi zamaane guzar gaye Par wo ahsaas aisa kuch yun hain Jaise umse aaj hi mile hon waise -By DK
Arz kiya hai... Ishq wo marz hai Jo umar ka mohtaaz nahi Aaj sawar hai jo mere sar pe Kya pata kal kisi aur ke sar ka taaj wohi -By DK
Arz kiya hai... Meri adhoori kahani ho tum Dard se bayaan zubaani ho tum Mil ke bhi jisse na mil paya wohi adhoori khwaish ho tum Paa ke bhi jise paa na saka Wohi adhoora khwaab ho tum Paas rah ke bhi kisi aur ke Aaj bhi meri deewani ho tum Aisi gazab kahani ho tum Meri adhoori kahani ho tum -By DK