Sad shayari – Dard bhari Shayari

This page has collection of Sad Shayaris

Faasle Aise bhi honge
Ye Kabhi socha na tha
Saamne baitha the wo
Par ab wo mera na tha

Dil ke lutne ka sabab
Poocho na sabke saamne
Naam aayega tumhara
ye kahani phir sahi…

Dard bhari shayari

Arz kiya hai…
Ye udaasi nahi pareshaani hai
Un tak pahunch na paayi jo baat
Us ki hi hairaani hai
Khair hum to aashiq hain ummed pe jeete hain
Zindagi ho ya jawani
Dono hi unke dedaar pe marte hain
-By DK

Dard seene se utha
aankhon se aansu nikle
Shaam aayi to
Ghazal kahne ke pahlu nikle

Dil ki choton ne kabhi chain se sone na diya
jab chali thandi hawa maine tujhe yaad kiya
is ka rona nahi kyun tum ne kiya dil barbaad mera
gham ye hai ke bahut der mein barbaad kiya

Arz Kiya hai…
Khamoshi tumhari Qaatil si hai
Alfaaz tumhaare hain zindagi
Yun chup na raho kuch to kaho
Intezaar mein hain har lamha har ghadi
-By DK

Arz Kiya hai…
Chhalak aati hain aankhein Aaj bhi unki
baat karte hue humse
Zamaane beet gaye
par aaj bhi un lamhon ki Yaad taaza hai
Lagta hai waqt ke taraazu me
aaj bhi Halaat se Ishq ka wazan zyada hai
-By DK

Arz Kiya hai…
Man ko chhoo kar
Laut aayin hain tumhaari yaadein
Un Lamhon ka ahsaas wo puraani baatein
Aaj bhi hai Intezaar hume
Laut aayengi aap ek din
Aur kah uthengi
Lo Aaa gayi rooh ki jaan khud paas tumhaare
-By DK


Arz kiya hai…
Koi aaj hamaari yaad mein
Kahin to khoya hai
Hai ahsaas hame
Mere liye koi to roya hai
Hisaab karti hai zindagi
Har ek kisse ka
Apne to dil ke har kone mein
Koi to sukoon se soya hai
-By DK

Arz kiya hai…
Mukammal ishq to
Rozmarra ki kashm o kash mein
Lachaar ho jata hai
Aur jo poora na ho saka wo
Mohabbat, Ibaadat aur pyar ho jata hai
-By DK

Arz Kiya hai…
E dil zara tham to ja
Naye ishq ke paimaane
Aazmaane se pahle
purane zakhm to
bhar jaane de
-By DK

Arz Kiya hai…
Kal tak Jisne di khushi
Wo hi aaj meri udaasi ka sabab ban gaya
Khushi to thi pal bhar ki
Aur zindagi bhar ka dard de gaya
-By DK

Arz kiya hai...
Purani yaadon ki tarah kyun
Laut chali aati ho
Samet chuka tha mushkil se khudko
Ek jhalak dikhla kar 
Phir bikher chali jaati ho
-By DK

Arz Kiya hai…
Unke baare mein kya bataayein
Unka to kissa hi kamaal hai
Rahin wo dono jagah zindagi bhar
Farq sirf itna tha ki
ek ke ghar ki raunak ban kar
Aur ek ke dil ka dard ban kar
-By DK

Arz Kiya hai…
Tujhe ishq nahi koi baat nahi
to kya jo mere dard ki koi kaat nahi
ho gaya akela phirse
is baarish mein tera saath nahi
khair chhoro ab to koi aas nahi
tujhe ishq nahi koi baat nahi
-By DK

Arz kiya hai...
Tum bin zindagi kuch adhuri si hai
Bhari mehfil mein bhi jaise kuch kami si hai
Tum nahi to ek maayusi si hai
Tum ho to ek deewangi si hai
Tum nahi to jaise ek gam sa hai
Tum ho to ek khushi si hai
Tum bin zindagi kuch adhuri si hai
-By DK
Arz kiya hai...
Baarish ki in boondon mein
Ahsaas kuch tum sa hai
Par ishq ke is mausam mein
Tum "tum" nahi main "main" nahi
Mahaul kuch "hum" sa hai
-By DK
Arz kiya hai...
Badal diya aapne thikaana muddaton pahle
Par aaj bhi jab aapki guli se guzarta hun
to kuch apnapan sa lagta hai
Purana hai ye zakhm bahut
par na jane kyun 
aaj bhi taaza lagta hai
-By DK