Collection of Shayari on Life(Zindagi)
E mere Zindagi ke maalik
Mere Dil pe haath rakhna
tere aane ki khushi mein
ye dum nikal naa jaaye
Kaashi aisi bhi hawa to chale
Kaun kiska hai zara pata to chale
Arz kiya hai... Nashe ka khumaar ho Ya ho zindagi ki saansein Dono hi ek waqt ke baad Saath chhor dete hain Ek ishq hi hai jo Rooh ka humsafar ban jaata hai -By DK
Mujh Se Naaraz Hai agar Tu To Chhod De Tanha Mujhko
Aye Zindagi Mujhe Roz Roz Yun Tamasha Na Banaya Kar
Arz kiya hai…
Sisak rahi hai aaj qaid mein zindagi
dekho kaise maut se jhoojh rahi hai zindagi
Kyun har koi itna pareshaan.. maayus kyun hai
kyun maut ka khauf itna
aur zindagi se mohabbat yun hai
Maut to hai mehbooba ek din zaroor gale lagayegi
aur Zindagi to hai bewafa ek din chhor ke chali jayegi
Zindagi to hai bewafa ek din chhor ke chali jayegi
-By DK
Arz kiya hai... Kya rakkha hai zindagi mein Aashiqui ke siwa Ishq nahi to wo zindagi kya hai Kisi kenliye dhadakta na ho to phir wo dil kya hai -By DK